kaale kaale badal ghir ke
Dekho boondain bar saayain
Suraj bhi chup chup jaaye
Aur badal shoor machayain
Suraj phir jhaankain jhilli se
Aur chupke se muskaye
Yeh aankh macholi dekho kaise
Din bhar khailay jaayain
Ek idhar toh doja ghayab
Peeche ko chup jaaye
Kabhi halki phuwar aur suraj
Yeh aapas mein mil jaaye
Phir karke kuch kaana phoosi
Mujhko yeh darayee
San san hawain aur garaj
Mere dil ko dhadka jaayain
Though not initially meant to be, this poem sounds like a nursery rhyme :)