Pages

*Yaadein*

Friday, January 7, 2011
Log toh aatay hain, chalay jaatay hain
Dunya ka dastoor yahi

Tum usko magar dhundhalne na do
Uski yaad ka diya pighalne na do

Rakho ge gar yaadon mein ussay
Toh har baat uski ho jayegi amar

Gar jo sochoge usko sham o pahar
Paoge usko tum paas bhar

Magar yaadon mein nami dekho lana nahi
Kisi ki yaad ko gham banana nahi

Yaadein toh khoobsurat hoti hain
Jeenay ki ek tamanna, ek lau hoti hain

Unse muskarahat dekho aa jaane do
Yaadon ko amar tum ho jaane do
-Sana

*Manzil kahiN nahiN*

Manzilain toh daurh aati hain, raasta khula rakhna
Ek band darwaze ki aarh mein khidhki khuli rakhna

Ahat na ho jiske aane ki, aisi cheez hai takdeer
Uski roshni hi uske aane ki aamad battiyati hai

Who roshni bhi toh magar, tabhi chann ke aati hai
Jo band darwaze ki aarh mein, khidhki chuli nazar aati hai
-Sana