*Life goes on.....*
To elaborate on that, I would need to consult my heart and unfortunately, He and I are not on talking terms for now....
*putting my foot down*
Enough is ENOUGH, dear heart. bahot ho gai tumhari man maani. now It's time for the brain to take over. I think I have spoiled you alot, haven't I? I know tum bahot bhoolay ho. You don't think about the consequences...but the reality is....sometimes, one has to worry about the consequences. I am at the brink of losing a friend. and It's all because of your stupidity. Stupid, stupid heart. Main tumse bahot naraaz hon. and you should learn something from all this, don't just sit there looking glum!
*Dekho in ki aankh macholi*
kaale kaale badal ghir ke
Dekho boondain bar saayain
Suraj bhi chup chup jaaye
Aur badal shoor machayain
Suraj phir jhaankain jhilli se
Aur chupke se muskaye
Yeh aankh macholi dekho kaise
Din bhar khailay jaayain
Ek idhar toh doja ghayab
Peeche ko chup jaaye
Kabhi halki phuwar aur suraj
Yeh aapas mein mil jaaye
Phir karke kuch kaana phoosi
Mujhko yeh darayee
San san hawain aur garaj
Mere dil ko dhadka jaayain
Though not initially meant to be, this poem sounds like a nursery rhyme :)
Dekho boondain bar saayain
Suraj bhi chup chup jaaye
Aur badal shoor machayain
Suraj phir jhaankain jhilli se
Aur chupke se muskaye
Yeh aankh macholi dekho kaise
Din bhar khailay jaayain
Ek idhar toh doja ghayab
Peeche ko chup jaaye
Kabhi halki phuwar aur suraj
Yeh aapas mein mil jaaye
Phir karke kuch kaana phoosi
Mujhko yeh darayee
San san hawain aur garaj
Mere dil ko dhadka jaayain
Though not initially meant to be, this poem sounds like a nursery rhyme :)
*Kuch ankahi si baatein*
Kuch ankahi si baatein
Kuch bin bitayi raatein
Aankhon mein basaye sapne
Mein rakh leti hoon
Shayad kisi din inki
Zarorat usse padh jaaye
Bar waqt kaam aajaye
Abhi jo parwaan chadh na paaye
Main rakh leti hoon
Un sabhi barish ki boondho ko
Jo bin barse hi laut gayi....
Woh muskurhat uske honto ki
Jo dil mein kahi hai bas gayi
Kuch chehakti subhe bhi
................aur do pahar ki khamoshi
Main rakh leti hoon...
Wow, why am I in such a poetic mood these days??? :) Lucky you guys (my readers)] [ if any] **wink**
Kuch bin bitayi raatein
Aankhon mein basaye sapne
Mein rakh leti hoon
Shayad kisi din inki
Zarorat usse padh jaaye
Bar waqt kaam aajaye
Abhi jo parwaan chadh na paaye
Main rakh leti hoon
Un sabhi barish ki boondho ko
Jo bin barse hi laut gayi....
Woh muskurhat uske honto ki
Jo dil mein kahi hai bas gayi
Kuch chehakti subhe bhi
................aur do pahar ki khamoshi
Main rakh leti hoon...
Wow, why am I in such a poetic mood these days??? :) Lucky you guys (my readers)] [ if any] **wink**
*Dua*
Haath utha ke, palkain bicha ke
Aaj maine apne Rabb se ek Dua ki hai
Maanga hai Rabb se tera Pyar bhara dil
Aur kuch saath mein lamhaat ki guzarish ki hai
Kuch kehne sa pehle hi, Usne padh liya meri aankhon mein
Ke kitne Mann se maine teri chahat ki hai
De deta hai Woh dil khol ke, Uske Darr pe kami kya hai
Magar aaj se pehle na maine kisi ki khwahish ki hai
Kaafi arsa hua kisi ne dil ko chua hai
Mere ahsaso ko, khwabo ko parha hai
Mujhe mehsoos kiya hai, apne Dil mein liya hai
Kho na don aisa dost kahi
Dil mein yeh darr sa utha hai
Isi liye........
Haath utha ke, palkain bicha ke
Aaj maine apne Rabb se ek Dua ki hai
Aaj maine apne Rabb se ek Dua ki hai
Maanga hai Rabb se tera Pyar bhara dil
Aur kuch saath mein lamhaat ki guzarish ki hai
Kuch kehne sa pehle hi, Usne padh liya meri aankhon mein
Ke kitne Mann se maine teri chahat ki hai
De deta hai Woh dil khol ke, Uske Darr pe kami kya hai
Magar aaj se pehle na maine kisi ki khwahish ki hai
Kaafi arsa hua kisi ne dil ko chua hai
Mere ahsaso ko, khwabo ko parha hai
Mujhe mehsoos kiya hai, apne Dil mein liya hai
Kho na don aisa dost kahi
Dil mein yeh darr sa utha hai
Isi liye........
Haath utha ke, palkain bicha ke
Aaj maine apne Rabb se ek Dua ki hai
*Roller-coaster ride*
Our emotions are something! you know what I mean, Dear Heart, don't you? Part of it is your fault and part of it is probably mine. :) whoever's fault it may be, Thank you for this roller-coaster ride!
*Curse or a Blessing?*
I have been debating over that for some time now. Being able to get attached to people/things and places lightening fast, is it a curse or a blessing? Sometimes I feel like a little kid. Not 2 or 3 years old, but a kid one week old. When you let them hold your finger they wrap around their palm so hard that it becomes hard to break your finger away even though you weigh lot more than them. Biologically, they do it because they are out of the womb now and still very afraid of the world. They see a friendly finger and hold onto it as if holding onto their dear life!
But what do you say when a 25 year old does this??? Curse or a Blessing?
But what do you say when a 25 year old does this??? Curse or a Blessing?
*Har harkat mein parchai teri toh hai*
Aankhon mein nami
Honto ki hansi
Who jhukti palak
Toh kabhi ghoorti aankhein
Meri har harkat mein
Teri parchai toh hai
Who raato mein gaal pe rakh ke haath
Aankhein meeche laytay rehna tera
Who subho main uthna, angrai leke
Kabhi kabhi baanho mein lena tera
main ab bhi kabhi laytay laytay yunhi
le leta hoon baanho mein tumhe
Mujh main sama gayi ho tum
Meri har harkat mein parchai teri toh hai